aahon ke koi Dhab hain na rone ke qarine
aahoñ ke koī Dhab haiñ na rone ke qarīne
furqat ko baḌhāyā hai mirī kam-hunarī ne
maqsūd pe haiñ pesh-e-raqībān-e-parīda
kyā uḌnā sikhāyā hameñ be-bāl-o-parī ne
taa.ir vahīñ baste haiñ jahāñ sang na aa.eñ
ābād rakhā mujh ko mirī be-samarī ne
huuñ bhī ki nahīñ huuñ aur agar huuñ bhī to kyā huuñ
tashvīsh meñ rakkhā hai tirī ḳhud-nigarī ne
mahfil meñ ghuTan hotī hai tanhā.ī meñ vahshat
rakkhā na kahīñ kā mujhe ḳhasta-jigarī ne
aahon ke koi Dhab hain na rone ke qarine
furqat ko baDhaya hai meri kam-hunari ne
maqsud pe hain pesh-e-raqiban-e-parida
kya uDna sikhaya hamein be-baal-o-pari ne
tair wahin baste hain jahan sang na aaen
aabaad rakha mujh ko meri be-samari ne
hun bhi ki nahin hun aur agar hun bhi to kya hun
tashwish mein rakkha hai teri KHud-nigari ne
mahfil mein ghuTan hoti hai tanhai mein wahshat
rakkha na kahin ka mujhe KHasta-jigari ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.