aahon ki aazaron ki aawazen thin
aahoñ kī āzāroñ kī āvāzeñ thiiñ
raah meñ ġham ke māroñ kī āvāzeñ thiiñ
duur ḳhalā meñ ek siyāhī phailī thī
bastī meñ añgāroñ kī āvāzeñ thiiñ
āñkhoñ meñ ḳhvāboñ ne shor machāyā thā
āsmān par tāroñ kī āvāzeñ thiiñ
ghar ke bāhar āvāzeñ thiiñ rastoñ kī
aur ghar meñ dīvāroñ kī āvāzeñ thiiñ
ab mujh meñ ik sannāTe kī chīḳheñ hai
pahle kuchh bīmāroñ kī āvāzeñ thiiñ
us bastī pe majbūrī kā saaya thā
ghar ghar meñ bāzāroñ kī āvāzeñ thiiñ
aahon ki aazaron ki aawazen thin
rah mein gham ke maron ki aawazen thin
dur KHala mein ek siyahi phaili thi
basti mein angaron ki aawazen thin
aankhon mein KHwabon ne shor machaya tha
aasman par taron ki aawazen thin
ghar ke bahar aawazen thin raston ki
aur ghar mein diwaron ki aawazen thin
ab mujh mein ek sannaTe ki chiKHen hai
pahle kuchh bimaron ki aawazen thin
us basti pe majburi ka saya tha
ghar ghar mein bazaron ki aawazen thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.