aahon mein ho tasir ki nalon mein asar ho
aahoñ meñ ho tāsīr ki nāloñ meñ asar ho
allāh kisī tarh shab-e-ġham kī sahar ho
itnā to ho jumbish meñ jo vo parda-e-dar ho
jhuk jaa.e 'aqīdat se vo sar ho ki nazar ho
ham yaad se un kī kabhī ġhāfil na raheñge
achchhā hai jo paiham ḳhalish-e-dard-e-jigar ho
kyā jāniye kab hone lage pursish-e-ahvāl
kyā jāniye kis vaqt muḳhātib vo nazar ho
kyā lutf hai mahfil meñ hoñ sab gosh-bar-āvāz
ham jis se kareñ baat usī ko na ḳhabar ho
sach jaan tire ġham meñ ab aañsū na baheñge
ālūda-e-‘isyāñ ho jo dāman mirā tar ho
detā hai ye dar-parda tasallī sī jo koī
shāyad ki mire ġham kī 'hazīñ' un ko ḳhabar ho
aahon mein ho tasir ki nalon mein asar ho
allah kisi tarh shab-e-gham ki sahar ho
itna to ho jumbish mein jo wo parda-e-dar ho
jhuk jae 'aqidat se wo sar ho ki nazar ho
hum yaad se un ki kabhi ghafil na rahenge
achchha hai jo paiham KHalish-e-dard-e-jigar ho
kya jaaniye kab hone lage pursish-e-ahwal
kya jaaniye kis waqt muKHatib wo nazar ho
kya lutf hai mahfil mein hon sab gosh-bar-awaz
hum jis se karen baat usi ko na KHabar ho
sach jaan tere gham mein ab aansu na bahenge
aaluda-e-‘isyan ho jo daman mera tar ho
deta hai ye dar-parda tasalli si jo koi
shayad ki mere gham ki 'hazin' un ko KHabar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.