aai bahaar daur ho saqi sharab ka
aa.ī bahār daur ho saaqī sharāb kā
dariyā bahā de bazm meñ ashk-e-kabāb kā
is āftāb-e-ruḳh pe nazar apnī paḌte hī
shabnam kī tarah uḌ gayā parda hijāb kā
kis bevafā pe martā hai kyā kījiye use
ghar aur ho kahīñ dil-e-ḳhāna-ḳharāb kā
karne to do savāl kareñ haiñ to kyā
āshiq huuñ maiñ bhī ik but-e-ḳhāna-ḳharāb kā
har-dam vo mujh ko dekh ke abrū chaḌhāte haiñ
pyāsā hai ḳhanjar un kā mire ḳhūn-e-nāb kā
qadmoñ ko chūmtā ai sanam āte-jāte maiñ
kyuuñ sañg meñ banā nahīñ terī janāb kā
sadme firāq-e-yār ke kyā kam haiñ ai 'nasīm'
mahshar meñ mujh ko ḳhauf nahīñ kuchh hisāb kā
aai bahaar daur ho saqi sharab ka
dariya baha de bazm mein ashk-e-kabab ka
is aaftab-e-ruKH pe nazar apni paDte hi
shabnam ki tarah uD gaya parda hijab ka
kis bewafa pe marta hai kya kijiye use
ghar aur ho kahin dil-e-KHana-KHarab ka
karne to do sawal karen hain to kya
aashiq hun main bhi ek but-e-KHana-KHarab ka
har-dam wo mujh ko dekh ke abru chaDhate hain
pyasa hai KHanjar un ka mere KHun-e-nab ka
qadmon ko chumta ai sanam aate-jate main
kyun sang mein bana nahin teri janab ka
sadme firaq-e-yar ke kya kam hain ai 'nasim'
mahshar mein mujh ko KHauf nahin kuchh hisab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.