aai judai aisi ki milna muhaal hai
aa.ī judā.ī aisī ki milnā muhāl hai
ham to haiñ dillī shahr meñ vo nainitāl hai
sun lo mire raqīb kā ab kaisā haal hai
itnā piTā thā mujh se abhī tak niDhāl hai
āñkheñ nashīlī jis kī qayāmat kī chaal hai
us par nazar na Dāliyo vo merā maal hai
mujh se chhuḌā le aaj ye kis kī majāl hai
chuTkī meñ merī jān-e-vafā terā gaal hai
sattar baras kī 'umr meñ shādī hai āThvīñ
baasī kaḌhī meñ dekhiye kaisā ubaal hai
kal bhī taras rahe the chicken aur mutton ko ham
kaisā sitam hai aaj bhī khāne meñ daal hai
murġhā paḌos kā hai chhurī is pe pher do
samjho na ġhair kā ise apnā hī maal hai
'ġhālib' kā ab makāñ hameñ kuchh kuchh makāñ lagā
īñTeñ na bajrī ab vahāñ lakḌī kī Taal hai
bose pe tere ruuTh ke 'iqbāl' jo ga.ī
aa.egī vo dobāra tirā kyā ḳhayāl hai
aai judai aisi ki milna muhaal hai
hum to hain dilli shahr mein wo nainital hai
sun lo mere raqib ka ab kaisa haal hai
itna piTa tha mujh se abhi tak niDhaal hai
aankhen nashili jis ki qayamat ki chaal hai
us par nazar na Daliyo wo mera mal hai
mujh se chhuDa le aaj ye kis ki majal hai
chuTki mein meri jaan-e-wafa tera gal hai
sattar baras ki 'umr mein shadi hai aaThwin
basi kaDhi mein dekhiye kaisa ubaal hai
kal bhi taras rahe the chicken aur mutton ko hum
kaisa sitam hai aaj bhi khane mein dal hai
murgha paDos ka hai chhuri is pe pher do
samjho na ghair ka ise apna hi mal hai
'ghaalib' ka ab makan hamein kuchh kuchh makan laga
inTen na bajri ab wahan lakDi ki Tal hai
bose pe tere ruTh ke 'iqbaal' jo gai
aaegi wo dobara tera kya KHayal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.