aai KHizan chaman mein gae din bahaar ke
aa.ī ḳhizāñ chaman meñ ga.e din bahār ke
sharminda sab daraḳht haiñ kapḌe utaar ke
make-up se chhup sakeñgī ḳharāsheñ na vaqt kī
ā.īna saarī bāteñ kahegā pukār ke
insāñ simaTtā jaatā hai ḳhud apnī zaat meñ
bandhan bhī khulte jaate haiñ sadiyoñ ke pyaar ke
phir kyā karegā rah ke koī tere shahr meñ
rāteñ hī jab nasīb hoñ rāteñ guzār ke
sochā hai apne zaḳhmoñ ke āñgan meñ baiTh kar
sajde karūñgā naqsh-e-tamannā ubhār ke
tanhā.iyoñ kā dard sameTe hue koī
'farhat' chalā hai Thokareñ duniyā ko maar ke
aai KHizan chaman mein gae din bahaar ke
sharminda sab daraKHt hain kapDe utar ke
make-up se chhup sakengi KHarashen na waqt ki
aaina sari baaten kahega pukar ke
insan simaTta jata hai KHud apni zat mein
bandhan bhi khulte jate hain sadiyon ke pyar ke
phir kya karega rah ke koi tere shahr mein
raaten hi jab nasib hon raaten guzar ke
socha hai apne zaKHmon ke aangan mein baiTh kar
sajde karunga naqsh-e-tamanna ubhaar ke
tanhaiyon ka dard sameTe hue koi
'farhat' chala hai Thokaren duniya ko mar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.