aai KHizan to baad-e-saba khinch li gai
aa.ī ḳhizāñ to bād-e-sabā khīñch lī ga.ī
jaise guloñ ke lab se duā khīñch lī ga.ī
kaalā naqāb adl kī āñkhoñ pe bāñdh kar
us ke badan pe jo thī qabā khīñch lī ga.ī
lagne lagā hai mil ke yuuñ ahl-e-vatan se ab
jaise har ek dil se vafā khīñch lī ga.ī
ġhārat-garī ke baad tamāshe ke vāste
baaqī thī jin saroñ pe ridā khīñch lī ga.ī
tum ne zabāñ ko izn-e-takallum nahīñ diyā
us ne jo tum ko dī thī sadā khīñch lī ga.ī
ham ko na zindagī pe na qudrat qazā pe hai
ham se hamārī ye bhī razā khīñch lī ga.ī
ehsās us ke chhoḌ ke jaane pe yuuñ huā
sāvan se jaise kaalī ghaTā khīñch lī ga.ī
pahle hazār ġham hue nāzil hamīñ pe phir
thī sab ġhamoñ kī jo bhī davā khīñch lī ga.ī
vo haath kyā uThe mirī pursish meñ dosto
sar se mire har ek balā khīñch lī ga.ī
mehnat-kashoñ ne ḳhuub munavvar kiye mahal
mehnat-kashoñ se un kī ziyā khīñch lī ga.ī
ḳhud ko bhī dekhtā huuñ maiñ hairat se āj-kal
milne kī merī mujh se adā khīñch lī ga.ī
aai KHizan to baad-e-saba khinch li gai
jaise gulon ke lab se dua khinch li gai
kala naqab adl ki aankhon pe bandh kar
us ke badan pe jo thi qaba khinch li gai
lagne laga hai mil ke yun ahl-e-watan se ab
jaise har ek dil se wafa khinch li gai
ghaarat-gari ke baad tamashe ke waste
baqi thi jin saron pe rida khinch li gai
tum ne zaban ko izn-e-takallum nahin diya
us ne jo tum ko di thi sada khinch li gai
hum ko na zindagi pe na qudrat qaza pe hai
hum se hamari ye bhi raza khinch li gai
ehsas us ke chhoD ke jaane pe yun hua
sawan se jaise kali ghaTa khinch li gai
pahle hazar gham hue nazil hamin pe phir
thi sab ghamon ki jo bhi dawa khinch li gai
wo hath kya uThe meri pursish mein dosto
sar se mere har ek bala khinch li gai
mehnat-kashon ne KHub munawwar kiye mahal
mehnat-kashon se un ki ziya khinch li gai
KHud ko bhi dekhta hun main hairat se aaj-kal
milne ki meri mujh se ada khinch li gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.