aai nahin kya qaid hai gulshan mein saba bhi
aa.ī nahīñ kyā qaid hai gulshan meñ sabā bhī
aane lagī zanjīr kī kānoñ meñ sadā bhī
pā jā.egā dil us meñ bhī taḳhsīs ke pahlū
ma.alūm ye hotā to na karte vo jafā bhī
DhūñDā kiye har gaam pe hāthoñ kā sahārā
bhūle se kabhī bahr-e-duā haath uThā bhī
shāne pe bikhere hue nikhrī huī zulfeñ
barsī bhī to ghanghor ajab hai ye ghaTā bhī
bhāyā hai jo mukhḌe ko chhupāne kā tarīqa
dekho kabhī āñkhoñ ko charāne kī adā bhī
jaise ho kañval aab meñ pākīza tabī.at
rahte hue duniyā meñ haiñ duniyā se judā bhī
har aan jafā jaan ke karte ho sitam hai
har saañs ye kahtī hai ki ho jān-e-vafā bhī
āñkheñ ye batātī haiñ ki dil aur kahīñ hai
kahnā thā mujhe tum se abhī is ke sivā bhī
mumkin hai gire koī himāla se to uTh jaa.e
'hāmid' kabhī uTThā hai nigāhoñ se girā bhī
aai nahin kya qaid hai gulshan mein saba bhi
aane lagi zanjir ki kanon mein sada bhi
pa jaega dil us mein bhi taKHsis ke pahlu
malum ye hota to na karte wo jafa bhi
DhunDa kiye har gam pe hathon ka sahaara
bhule se kabhi bahr-e-dua hath uTha bhi
shane pe bikhere hue nikhri hui zulfen
barsi bhi to ghanghor ajab hai ye ghaTa bhi
bhaya hai jo mukhDe ko chhupane ka tariqa
dekho kabhi aankhon ko charane ki ada bhi
jaise ho kanwal aab mein pakiza tabiat
rahte hue duniya mein hain duniya se juda bhi
har aan jafa jaan ke karte ho sitam hai
har sans ye kahti hai ki ho jaan-e-wafa bhi
aankhen ye batati hain ki dil aur kahin hai
kahna tha mujhe tum se abhi is ke siwa bhi
mumkin hai gire koi himala se to uTh jae
'hamid' kabhi uTTha hai nigahon se gira bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.