aai sahar qarib to maine paDhi ghazal
aa.ī sahar qarīb to maiñ ne paḌhī ġhazal
jalne lage sitāroñ ke bujhte hue kañval
betāb hai junūñ ki ġhazal-ḳhvāniyāñ karūñ
ḳhāmosh hai ḳhirad ki nahīñ baat kā mahal
rāhoñ meñ jū-e-ḳhūñ hai ravāñ misl-e-mauj-e-mai
saaqī yaqīñ na ho to zarā mere saath chal
ham rind ḳhāk-o-ḳhūñ meñ aTe haath bhī kaTe
nikle na ai bahār tire gesuoñ ke bal
kuchh bijliyoñ kā shor hai kuchh āñdhiyoñ kā zor
dil hai maqām par to zarā baam par nikal
ab tark-e-dostī hī taqāzā hai vaqt kā
ai yār-e-chāra-sāz mirī aag meñ na jal
ai iltifāt-e-yār mujhe sochne to de
jiine kā hai maqām ki marne kā hai mahal
dil par hai aisā bojh ki khultī nahīñ zabāñ
āñdhī hai aisī tez ki jaltā nahīñ kañval
kaise diye jalā.e ġham-e-rozgār ne
kuchh aur jagmagāte ġham-e-yār ke mahal
farmān-e-shahryār kī parvā nahīñ mujhe
īmā-e-āshiqāñ ho to 'ābid' paḌhe ġhazal
aai sahar qarib to main ne paDhi ghazal
jalne lage sitaron ke bujhte hue kanwal
betab hai junun ki ghazal-KHwaniyan karun
KHamosh hai KHirad ki nahin baat ka mahal
rahon mein ju-e-KHun hai rawan misl-e-mauj-e-mai
saqi yaqin na ho to zara mere sath chal
hum rind KHak-o-KHun mein aTe hath bhi kaTe
nikle na ai bahaar tere gesuon ke bal
kuchh bijliyon ka shor hai kuchh aandhiyon ka zor
dil hai maqam par to zara baam par nikal
ab tark-e-dosti hi taqaza hai waqt ka
ai yar-e-chaara-saz meri aag mein na jal
ai iltifat-e-yar mujhe sochne to de
jine ka hai maqam ki marne ka hai mahal
dil par hai aisa bojh ki khulti nahin zaban
aandhi hai aisi tez ki jalta nahin kanwal
kaise diye jalae gham-e-rozgar ne
kuchh aur jagmagate gham-e-yar ke mahal
farman-e-shahryar ki parwa nahin mujhe
ima-e-ashiqan ho to 'abid' paDhe ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.