aai to kahin koi qayamat nahin ab ke
aa.ī to kahīñ koī qayāmat nahīñ ab ke
is shahr meñ ik sar bhī salāmat nahīñ ab ke
yuuñ ḳhema-e-gul ḳhaak huā fasl-e-junūñ meñ
phūloñ pe koī rañg-e-malāhat nahīñ ab ke
kyā jāniye kis dasht kā paivand huā hai
ik shaḳhs sar-e-kū-e-malāmat nahīñ ab ke
ab TuuT ke sahrā meñ bikharne kī havas hai
ik gosha-e-dāman pe qanā'at nahīñ ab ke
haañ ab na rahī dār-o-rasan se koī nisbat
haañ pesh-e-nazar vo qad-o-qāmat nahīñ ab ke
vo zaḳhm mile dil ko sar-e-manzil-e-qurbat
ik dushman-e-jāñ se bhī shikāyat nahīñ ab ke
ḳhud us ne kiyā faisla-e-tark-e-ta.alluq
ḳhud mujh se mire dil ko nadāmat nahīñ ab ke
aai to kahin koi qayamat nahin ab ke
is shahr mein ek sar bhi salamat nahin ab ke
yun KHema-e-gul KHak hua fasl-e-junun mein
phulon pe koi rang-e-malahat nahin ab ke
kya jaaniye kis dasht ka paiwand hua hai
ek shaKHs sar-e-ku-e-malamat nahin ab ke
ab TuT ke sahra mein bikharne ki hawas hai
ek gosha-e-daman pe qana'at nahin ab ke
han ab na rahi dar-o-rasan se koi nisbat
han pesh-e-nazar wo qad-o-qamat nahin ab ke
wo zaKHm mile dil ko sar-e-manzil-e-qurbat
ek dushman-e-jaan se bhi shikayat nahin ab ke
KHud us ne kiya faisla-e-tark-e-talluq
KHud mujh se mere dil ko nadamat nahin ab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.