ā.īna-e-jahān kā chehra nazār hai
har aks kah rahā hai ki har phuul ḳhaar hai
kab kis ke iḳhtiyār meñ aa jā.ūñ kyā pata
har saañs mere hone kī mujh par udhār hai
gul ko charāġh jaan ke tiilī dikhā.ī thī
sho.aloñ kā raqs ab mirī āñkhoñ pe baar hai
jaane hai kis azaab se guzrī ye zindagī
bikhrī huī hai zulf garebān taar hai
ik rāhvār-e-ishq ke jaane pe aañkh meñ
ab gard baiThtī nahīñ har dam ġhubār hai
parbat kī raakh surma samajhtī rahī 'duā'
palkoñ pe ab jamā huā gard-o-ġhubār hai
aaina-e-jahan ka chehra nazar hai
har aks kah raha hai ki har phul KHar hai
kab kis ke iKHtiyar mein aa jaun kya pata
har sans mere hone ki mujh par udhaar hai
gul ko charagh jaan ke tili dikhai thi
shoalon ka raqs ab meri aankhon pe bar hai
jaane hai kis azab se guzri ye zindagi
bikhri hui hai zulf gareban tar hai
ek rahwar-e-ishq ke jaane pe aankh mein
ab gard baiThti nahin har dam ghubar hai
parbat ki rakh surma samajhti rahi 'dua'
palkon pe ab jama hua gard-o-ghubar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.