aaina hai ki hai qatil ke muqabil qatil
ā.īna hai ki hai qātil ke muqābil qātil
mujh ko ye Dar hai ki laḌ jaa.eñ na qātil qātil
khiñch ke talvār kī sūrat na gale mil qātil
is tarah mil ki mile dil se tirā dil qātil
tire hote hue kyoñ jaan karūñ nazr-e-ajal
nīm-jāñ chhoḌne se kyā tujhe hāsil qātil
dast-e-nāzuk kī tarah teġh bhī nāzuk hai bahut
tujh se āsān na hogī mirī mushkil qātil
itnī mohlat bhī na dī teġh-e-adā ne tujh ko
ki dikhātā tujhe apnā jigar-o-dil qātil
ham sū-e-manzil-e-maqsūd chale bhī jo kabhī
jaada shamshīr banā dūrī-e-manzil qātil
kushta-e-nāz se vo hashr bane eid kā din
apne 'safdar' se zarā aaj gale mil qātil
aaina hai ki hai qatil ke muqabil qatil
mujh ko ye Dar hai ki laD jaen na qatil qatil
khinch ke talwar ki surat na gale mil qatil
is tarah mil ki mile dil se tera dil qatil
tere hote hue kyon jaan karun nazr-e-ajal
nim-jaan chhoDne se kya tujhe hasil qatil
dast-e-nazuk ki tarah tegh bhi nazuk hai bahut
tujh se aasan na hogi meri mushkil qatil
itni mohlat bhi na di tegh-e-ada ne tujh ko
ki dikhata tujhe apna jigar-o-dil qatil
hum su-e-manzil-e-maqsud chale bhi jo kabhi
jada shamshir bana duri-e-manzil qatil
kushta-e-naz se wo hashr bane eid ka din
apne 'safdar' se zara aaj gale mil qatil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.