aaina ek KHayal ka hun shishagar nahin
ā.īna ik ḳhayāl kā huuñ shīshagar nahīñ
maiñ vo makāñ huuñ jis kā koī bām-o-dar nahīñ
kis samt jā rahā huuñ ye mujh ko ḳhabar nahīñ
maiñ jis kī huuñ talāsh meñ ye vo sahar nahīñ
aaya huuñ ajnabī kī tarah shahr-e-dard meñ
jo rahguzar milī vo tirī rahguzar nahīñ
apnī salīb-e-jāñ pe khaḌā huuñ barahna sar
ik jaam huuñ sifāl kā maiñ kūza-gar nahīñ
ik dasht-e-be-gumāñ meñ hai manzil kī justujū
ik karb-e-lā-zavāl hai jis se mafar nahīñ
tanhā.iyoñ ke zahr se be-kal hai zindagī
merā rafīq-e-shab bhī mirā ham-safar nahīñ
har shāḳh par salīb kā hotā hai ab gumāñ
be-barg har shajar hai ki jis meñ samar nahīñ
aksar ye sochtā huuñ safar kā nishāñ mile
shāyad rah-e-hayāt abhī muḳhtasar nahīñ
paanī kī buuñd ko bhī tarastī hai ye zamīñ
abr-e-bahār kā bhī yahāñ se guzar nahīñ
taa.ir kī tarah maiñ huuñ 'sabā' ab shikasta par
parvāz kī havas hai magar bāl-o-par nahīñ
aaina ek KHayal ka hun shishagar nahin
main wo makan hun jis ka koi baam-o-dar nahin
kis samt ja raha hun ye mujh ko KHabar nahin
main jis ki hun talash mein ye wo sahar nahin
aaya hun ajnabi ki tarah shahr-e-dard mein
jo rahguzar mili wo teri rahguzar nahin
apni salib-e-jaan pe khaDa hun barahna sar
ek jam hun sifal ka main kuza-gar nahin
ek dasht-e-be-guman mein hai manzil ki justuju
ek karb-e-la-zawal hai jis se mafar nahin
tanhaiyon ke zahr se be-kal hai zindagi
mera rafiq-e-shab bhi mera ham-safar nahin
har shaKH par salib ka hota hai ab guman
be-barg har shajar hai ki jis mein samar nahin
aksar ye sochta hun safar ka nishan mile
shayad rah-e-hayat abhi muKHtasar nahin
pani ki bund ko bhi tarasti hai ye zamin
abr-e-bahaar ka bhi yahan se guzar nahin
tair ki tarah main hun 'saba' ab shikasta par
parwaz ki hawas hai magar baal-o-par nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.