aaine mein chehra rakh kar sochunga
ā.īne meñ chehra rakh kar sochūñgā
maiñ ab ḳhud ko tanhā rakh kar sochūñgā
duur falak se ik din maiñ bhī ubharūñgā
phir Thokar meñ duniyā rakh kar sochūñgā
kis manzil se merā rishta gahrā hai
paañv tale har rasta rakh kar sochūñgā
merā juzv bhī jaise kul meñ shāmil ho
dariyā meñ ek qatra rakh kar sochūñgā
yaksāñ qadreñ 'ḳhusrav' se 'farhān' talak
saare lahje yakjā rakh kar sochūñgā
aaine mein chehra rakh kar sochunga
main ab KHud ko tanha rakh kar sochunga
dur falak se ek din main bhi ubharunga
phir Thokar mein duniya rakh kar sochunga
kis manzil se mera rishta gahra hai
panw tale har rasta rakh kar sochunga
mera juzw bhi jaise kul mein shamil ho
dariya mein ek qatra rakh kar sochunga
yaksan qadren 'KHusraw' se 'farhan' talak
sare lahje yakja rakh kar sochunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.