aaine se aankh laDi hai
ā.īne se aañkh laḌī hai
armānoñ pe os paḌī hai
ghar āñgan zulmat ke pahre
darvāze par dhuup jaḌī hai
mausam mausam karb kā mausam
Daalī Daalī aañch kaḌī hai
apnā chehra DhūñD rahā huuñ
ā.īne par dhuul paḌī hai
sahrā sahrā DhūñDne vaalo
dariyā dariyā pyaas khaḌī hai
lahja lahja zahr meñ Duubā
chhoTā muñh aur baat baḌī hai
sachchā.ī ke paañv meñ 'nashtar'
dahshat kī zanjīr paḌī hai
aaine se aankh laDi hai
armanon pe os paDi hai
ghar aangan zulmat ke pahre
darwaze par dhup jaDi hai
mausam mausam karb ka mausam
Dali Dali aanch kaDi hai
apna chehra DhunD raha hun
aaine par dhul paDi hai
sahra sahra DhunDne walo
dariya dariya pyas khaDi hai
lahja lahja zahr mein Duba
chhoTa munh aur baat baDi hai
sachchai ke panw mein 'nashtar'
dahshat ki zanjir paDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.