aaine TuTte hain nazar ko rasai de
ā.īne TūTte haiñ nazar ko rasā.ī de
apnī hī kyuuñ na ho koī sūrat dikhā.ī de
hai us kī nekiyoñ meñ abhī tak mirā shumār
be-shak vo mere naam hazāroñ burā.ī de
ai yād-e-yār saath tire chal chukā bahut
maiñ thak ke chūr-chūr huā ab rihā.ī de
maiñ ne har ik gunāh tumhārā chhupā liyā
mānegā kaun laakh añdherā safā.ī de
phir rāstoñ pe raat bhaTaktī hai ai 'tapish'
maiñ ik diyā jalā.ūñ ki manzil dikhā.ī de
aaine TuTte hain nazar ko rasai de
apni hi kyun na ho koi surat dikhai de
hai us ki nekiyon mein abhi tak mera shumar
be-shak wo mere nam hazaron burai de
ai yaad-e-yar sath tere chal chuka bahut
main thak ke chur-chur hua ab rihai de
main ne har ek gunah tumhaara chhupa liya
manega kaun lakh andhera safai de
phir raston pe raat bhaTakti hai ai 'tapish'
main ek diya jalaun ki manzil dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.