aaina bhi aaina-gar se ulajhta rah gaya
aa.ina bhī ā.īna-gar se ulajhtā rah gayā
maiñ hī us bahrūp ghar meñ ek jhūTā rah gayā
aañkh khulte hī umaD aa.ī hai kitnī tīrgī
dekhte hī dekhte sūraj sitāra rah gayā
sar-phirī āñdhī ne āḳhir kar diyā qissa tamām
maiñ charāġhoñ kī lavoñ par haath rakhtā rah gayā
naqsh dhuñdlā.e to chehre kī shanāsā.ī ga.ī
aañkh putlī meñ laraztā ik hayūlā rah gayā
mauj-e-sahrā se mile shāyad numū kā zā.iqa
jhilmilātā āb-e-dariyā reg-e-dariyā rah gayā
ab 'munavvar' kaun lā.egā ḳhabar us paar kī
kis ko lahroñ se nimaTne kā salīqa rah gayā
aaina bhi aaina-gar se ulajhta rah gaya
main hi us bahrup ghar mein ek jhuTa rah gaya
aankh khulte hi umaD aai hai kitni tirgi
dekhte hi dekhte suraj sitara rah gaya
sar-phiri aandhi ne aaKHir kar diya qissa tamam
main charaghon ki lawon par hath rakhta rah gaya
naqsh dhundlae to chehre ki shanasai gai
aankh putli mein larazta ek hayula rah gaya
mauj-e-sahra se mile shayad numu ka zaiqa
jhilmilata aab-e-dariya reg-e-dariya rah gaya
ab 'munawwar' kaun laega KHabar us par ki
kis ko lahron se nimaTne ka saliqa rah gaya
- Book : Pakistani Adab (Pg. 692)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.