Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaina dekh ke kahta hai ye dilbar mera

Wafa Lakhnavi

aaina dekh ke kahta hai ye dilbar mera

Wafa Lakhnavi

MORE BYWafa Lakhnavi

    aa.ina dekh ke kahtā hai ye dilbar merā

    māh-e-kan.āñ bhī nahīñ husn meñ ham-sar merā

    dil-e-qātil se pas-e-qatl bhī niklā na buḳhār

    lāsha tash.hīr kiyā kar ke judā sar merā

    yaar phir jaatā hai aa kar mire darvāze se

    mujh se bargashta hai kis darja muqaddar merā

    rāh-e-gum-karda vo ḳhud phirtā hai ik muddat se

    kū-e-ulfat meñ ḳhizar ḳhaak ho rahbar merā

    nahīñ ma.alūm ki qāsid pe mire kyā guzrī

    aaj qaabū meñ nahīñ hai dil-e-muztar merā

    mai-kade par mirā qabza ho maiñ vo mai-kash huuñ

    shīsha merā hai subū merā hai sāġhar merā

    kyoñ lagā rahne diyā ai mire qātil tasma

    ek vaar meñ karnā thā judā sar merā

    aa.iye aa.iye dikhlā.iye sūrat apnī

    dam shab-e-hijr meñ aaya hai laboñ par merā

    qatl hote hue bhar ke unheñ dekh liyā

    hausla aaj to niklā tah-e-ḳhanjar merā

    ai 'vafā' thī jo tamanna mujhe pā-bosī

    pā-e-qātil pe girā ho ke judā sar merā

    aaina dekh ke kahta hai ye dilbar mera

    mah-e-kanan bhi nahin husn mein ham-sar mera

    dil-e-qatil se pas-e-qatl bhi nikla na buKHar

    lasha tashhir kiya kar ke juda sar mera

    yar phir jata hai aa kar mere darwaze se

    mujh se bargashta hai kis darja muqaddar mera

    rah-e-gum-karda wo KHud phirta hai ek muddat se

    ku-e-ulfat mein KHizar KHak ho rahbar mera

    nahin malum ki qasid pe mere kya guzri

    aaj qabu mein nahin hai dil-e-muztar mera

    mai-kade par mera qabza ho main wo mai-kash hun

    shisha mera hai subu mera hai saghar mera

    kyon laga rahne diya ai mere qatil tasma

    ek hi war mein karna tha juda sar mera

    aaiye aaiye dikhlaiye surat apni

    dam shab-e-hijr mein aaya hai labon par mera

    qatl hote hue ji bhar ke unhen dekh liya

    hausla aaj to nikla tah-e-KHanjar mera

    ai 'wafa' thi jo tamanna mujhe pa-bosi ki

    pa-e-qatil pe gira ho ke juda sar mera

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now