aaina dekha kisi roz na hairan hue
aa.ina dekhā kisī roz na hairān hue
ham to bas aa ke yahāñ saḳht pashemān hue
mezbānī kā sharaf qismat-e-aġhyār meñ thā
tum mire ghar to kisī raat na mehmān hue
jab koī baat samajhne kā hameñ hosh na thā
faisle ham se bhī sarzad isī daurān hue
dil gayā jaan ga.ī izzat-e-sādāt ga.ī
ishq meñ is ke sivā aur bhī nuqsān hue
maiñ bhī us shaḳhs kā mamnūn kahāñ tak rahtā
kaam mere to kahīñ aur se āsān hue
aaina dekha kisi roz na hairan hue
hum to bas aa ke yahan saKHt pasheman hue
mezbani ka sharaf qismat-e-aghyar mein tha
tum mere ghar to kisi raat na mehman hue
jab koi baat samajhne ka hamein hosh na tha
faisle hum se bhi sarzad isi dauran hue
dil gaya jaan gai izzat-e-sadat gai
ishq mein is ke siwa aur bhi nuqsan hue
main bhi us shaKHs ka mamnun kahan tak rahta
kaam mere to kahin aur se aasan hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.