aaina dida-e-hairan nazar aata hai mujhe
aa.ina dīda-e-hairāñ nazar aatā hai mujhe
ya.anī zarra bhī bayābāñ nazar aatā hai mujhe
apnī hastī kā ye unvāñ nazar aatā hai mujhe
jaise ik ḳhvāb-e-pareshāñ nazar aatā hai mujhe
dasht-e-vahshat kī farāvānī-e-vahshat tauba
ab to dāman bhī garebāñ nazar aatā hai mujhe
phir qadam uThte haiñ rah rah ke bayābāñ kī taraf
phir junūñ silsila-jumbāñ nazar aatā hai mujhe
phir baḌhī jaatī hai har zaḳhm-e-jigar kī shorish
phir mirī ziist kā sāmāñ nazar aatā hai mujhe
aaj saaqī ne pilā.ī hai mujhe vo sahbā
jis ke har ghūñT meñ īmāñ nazar aatā hai mujhe
is qadar ishrat-e-hastī ne kiyā girvīda
har nafas shauq-badāmāñ nazar aatā hai mujhe
sa.ī-e-nākām pe be-sāḳhta hañs detā huuñ
jab koī tālib-e-armāñ nazar aatā hai mujhe
mil ga.ī mujh ko 'hasan' zauq-e-nazar sī daulat
ab to har phuul gulistāñ nazar aatā hai mujhe
aaina dida-e-hairan nazar aata hai mujhe
yani zarra bhi bayaban nazar aata hai mujhe
apni hasti ka ye unwan nazar aata hai mujhe
jaise ek KHwab-e-pareshan nazar aata hai mujhe
dasht-e-wahshat ki farawani-e-wahshat tauba
ab to daman bhi gareban nazar aata hai mujhe
phir qadam uThte hain rah rah ke bayaban ki taraf
phir junun silsila-jumban nazar aata hai mujhe
phir baDhi jati hai har zaKHm-e-jigar ki shorish
phir meri zist ka saman nazar aata hai mujhe
aaj saqi ne pilai hai mujhe wo sahba
jis ke har ghunT mein iman nazar aata hai mujhe
is qadar ishrat-e-hasti ne kiya girwida
har nafas shauq-badaman nazar aata hai mujhe
sai-e-nakaam pe be-saKHta hans deta hun
jab koi talib-e-arman nazar aata hai mujhe
mil gai mujh ko 'hasan' zauq-e-nazar si daulat
ab to har phul gulistan nazar aata hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.