aaina jab dikha diya tu ne
aa.ina jab dikhā diyā tū ne
mujh ko mujh se milā diyā tū ne
ye gunāh-e-azīm hotā hai
jis ko chāhā miTā diyā tū ne
maqsad-e-zindagī batā ke mujhe
so rahā thā jagā diyā tū ne
hañste hañste nikal paḌe aañsū
zaḳhm dil pe lagā diyā tū ne
jaane kitne javāñ fanā hoñge
ruḳh se parda haTā diyā tū ne
shukriyā ai mire ḳhudā āḳhir
nek insāñ banā diyā tū ne
dil pe nashtar chalā chalā ke 'dharam'
mujh ko shā'ir banā diyā tū ne
aaina jab dikha diya tu ne
mujh ko mujh se mila diya tu ne
ye gunah-e-azim hota hai
jis ko chaha miTa diya tu ne
maqsad-e-zindagi bata ke mujhe
so raha tha jaga diya tu ne
hanste hanste nikal paDe aansu
zaKHm dil pe laga diya tu ne
jaane kitne jawan fana honge
ruKH se parda haTa diya tu ne
shukriya ai mere KHuda aaKHir
nek insan bana diya tu ne
dil pe nashtar chala chala ke 'dharam'
mujh ko sha'ir bana diya tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.