aaina muKHatab hai aao guftugu kar len
aa.ina muḳhātab hai aao guftugū kar leñ
aur isī bahāne ham ḳhud kī justujū kar leñ
jaane phir jame kis din bazm dil-figāroñ kī
aao chand saa.at ham kyoñ na hāo-hū kar leñ
hoñT yak-ba-yak rakh deñ ham kaf-e-hinā.ī par
us ko surḳh-rū kar deñ ḳhud ko surḳh-rū kar leñ
ye bhī ek lamha hai āmad-e-bahārāñ kā
phaaḌ leñ garebāñ ko jashn-e-rang-o-bū kar leñ
ābloñ ke paanī se zarre-zarre ko sīñcheñ
dasht-e-ātishīñ ko bhī shāmil-e-numū kar leñ
kyoñ na aam ho charchā us kī mehrbānī kā
ham bhī us kī āñkhoñ kā zikr kū-ba-kū kar leñ
rishta-e-nafas TuuTe jaane kis ghaḌī 'sāhil'
kyoñ na apnī hastī ko vaqf-e-ārzū kar leñ
aaina muKHatab hai aao guftugu kar len
aur isi bahane hum KHud ki justuju kar len
jaane phir jame kis din bazm dil-figaron ki
aao chand saat hum kyon na hao-hu kar len
honT yak-ba-yak rakh den hum kaf-e-hinai par
us ko surKH-ru kar den KHud ko surKH-ru kar len
ye bhi ek lamha hai aamad-e-bahaaran ka
phaD len gareban ko jashn-e-rang-o-bu kar len
aablon ke pani se zarre-zarre ko sinchen
dasht-e-atishin ko bhi shamil-e-numu kar len
kyon na aam ho charcha us ki mehrbani ka
hum bhi us ki aankhon ka zikr ku-ba-ku kar len
rishta-e-nafas TuTe jaane kis ghaDi 'sahil'
kyon na apni hasti ko waqf-e-arzu kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.