aaina ruKH pe be-naqab hua
aa.ina ruḳh pe be-naqāb huā
husn ḳhud apnā intiḳhāb huā
qais miltā to phir batātā use
maiñ tire dasht meñ ḳharāb huā
us kā chehra paḌhā aur itnā paḌhā
aise meñ sāhib-e-kitāb huā
us kī āñkhoñ meñ pyaas chamkī thī
ābdīda huuñ kyoñ na aab huā
shāḳh par us ne apnā lams rakhā
aur maiñ khil uThā gulāb huā
āb-e-sāda ne us ke hoñT chakhe
ghūñT bharte samay sharāb huā
jaane kis niiñd ko huā 'mahbūb'
jaane kis aañkh kā vo ḳhvāb huā
aaina ruKH pe be-naqab hua
husn KHud apna intiKHab hua
qais milta to phir batata use
main tere dasht mein KHarab hua
us ka chehra paDha aur itna paDha
aise mein sahib-e-kitab hua
us ki aankhon mein pyas chamki thi
aabdida hun kyon na aab hua
shaKH par us ne apna lams rakha
aur main khil uTha gulab hua
aab-e-sada ne us ke honT chakhe
ghunT bharte samay sharab hua
jaane kis nind ko hua 'mahbub'
jaane kis aankh ka wo KHwab hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.