aainon ki bhiD mein patthar rahe badnam bhi
ā.inoñ kī bhiiḌ meñ patthar rahe badnām bhī
ā.inoñ ko paḌ rahā hai pattharoñ se kaam bhī
tū ḳhudā hai to mukammal kyoñ nahīñ kartā mujhe
varna mujh se chhīn le ye merā istihkām bhī
maiñ akelā hī nahīñ huuñ is sutūn-e-dār par
hai mire hamrāh ik idrāk bhī anjām bhī
ibtidā bhī in khilaunoñ kī isī miTTī se hai
muskurātā hai yahīñ baiThā kahīñ anjām bhī
aainon ki bhiD mein patthar rahe badnam bhi
aainon ko paD raha hai pattharon se kaam bhi
tu KHuda hai to mukammal kyon nahin karta mujhe
warna mujh se chhin le ye mera istihkaam bhi
main akela hi nahin hun is sutun-e-dar par
hai mere hamrah ek idrak bhi anjam bhi
ibtida bhi in khilaunon ki isi miTTi se hai
muskuraata hai yahin baiTha kahin anjam bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.