aainon par bhi sher utarte hain
ā.inoñ par bhī she'r utarte haiñ
aap kuchh is tarah sañvarte haiñ
jab bhī ho us ke husn kī tārīf
lafz parde kā kaam karte haiñ
pyaas panghaT pe jab nahīñ bujhtī
ashk hī gāgaroñ meñ bharte haiñ
maiñ vahāñ phuul bechtā huuñ jahāñ
log hiire nigal ke marte haiñ
zinda rahne kā kuchh javāz to ho
aao ik dūsre pe marte haiñ
aainon par bhi she'r utarte hain
aap kuchh is tarah sanwarte hain
jab bhi ho us ke husn ki tarif
lafz parde ka kaam karte hain
pyas panghaT pe jab nahin bujhti
ashk hi gagaron mein bharte hain
main wahan phul bechta hun jahan
log hire nigal ke marte hain
zinda rahne ka kuchh jawaz to ho
aao ek dusre pe marte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.