aainon se pahle bhi rasm-e-KHud-numai thi
aainon se pahle bhi rasm-e-KHud-numai thi
Hasan Najmi Sikandarpuri
MORE BYHasan Najmi Sikandarpuri
ā.inoñ se pahle bhī rasm-e-ḳhud-numā.ī thī
dil shikār hote the aisī dilrubā.ī thī
phuul phuul bām-o-dar rāste haiñ gul-paikar
vo udhar se guzre the yā bahār aa.ī thī
paas kā musāfir kyuuñ uTh ke duur jā baiThā
naam pūchh lene meñ aisī kyā burā.ī thī
kuchh shafaq shafaq aariz kuchh ufuq ufuq chehre
aarzū ne bazm apnī raat yuuñ sajā.ī thī
kitnā mohtaram thā maiñ bhūltā nahīñ 'najmī'
bhuuk bhī mire ghar meñ sar jhukā ke aa.ī thī
aainon se pahle bhi rasm-e-KHud-numai thi
dil shikar hote the aisi dilrubai thi
phul phul baam-o-dar raste hain gul-paikar
wo udhar se guzre the ya bahaar aai thi
pas ka musafir kyun uTh ke dur ja baiTha
nam puchh lene mein aisi kya burai thi
kuchh shafaq shafaq aariz kuchh ufuq ufuq chehre
aarzu ne bazm apni raat yun sajai thi
kitna mohtaram tha main bhulta nahin 'najmi'
bhuk bhi mere ghar mein sar jhuka ke aai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.