aaj aaina jo dekha kitni hairani hui
aaj ā.īna jo dekhā kitnī hairānī huī
ajnabī aa.ī nazar ik shakl pahchānī huī
jab ye jaanā vaqt-e-mushkil koī bhī sāthī nahīñ
dil ko rāhat sī milī mahsūs āsānī huī
ham samajhte the ki be-ghar be-sahārā haiñ magar
āsmāñ ne ek chādar ham pe thī taanī huī
āñsūoñ pe hañsne vaalo kyā tumheñ mālūm hai
aag jo dil meñ thī aa kar aañkh meñ paanī huī
saath le kar ḳhushiyāñ apne zindagī phir aa ga.ī
ham ne apne dil meñ thī kuchh aur hī Thānī huī
ham bhī is lamhe se ḳhā.if the bahut ḳhā.if ai dost
ham se mil kar tum ko bhī yaksar pareshānī huī
rāste kī mushkileñ 'tāsīr' kyā pur-lutf thiiñ
haañ magar manzil par aa kar kuchh pareshānī huī
aaj aaina jo dekha kitni hairani hui
ajnabi aai nazar ek shakl pahchani hui
jab ye jaana waqt-e-mushkil koi bhi sathi nahin
dil ko rahat si mili mahsus aasani hui
hum samajhte the ki be-ghar be-sahaara hain magar
aasman ne ek chadar hum pe thi tani hui
aansuon pe hansne walo kya tumhein malum hai
aag jo dil mein thi aa kar aankh mein pani hui
sath le kar KHushiyan apne zindagi phir aa gai
hum ne apne dil mein thi kuchh aur hi Thani hui
hum bhi is lamhe se KHaif the bahut KHaif ai dost
hum se mil kar tum ko bhi yaksar pareshani hui
raste ki mushkilen 'tasir' kya pur-lutf thin
han magar manzil par aa kar kuchh pareshani hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.