aaj achchha hun meri jaan bura to kal tha
aaj achchhā huuñ mirī jaan burā to kal thā
ab mayassar hai tirā saath judā to kal thā
us se nazreñ jo milīñ hosh abhī tak gum haiñ
hādisa aisā mire saath huā to kal thā
aag kuchh aisī lagī saarī fazā hai dhuñdlī
dil se uThtā hai dhuāñ ab bhī bujhā to kal thā
aaj bhī mujh ko gulāboñ kī mahak aatī hai
sirf ik pal ke liye us ne chhuā to kal thā
uljhanoñ meñ hī rahā huuñ maiñ abhī tak masrūf
ḳhvāb bhī hote haiñ ye 'ilm huā to kal thā
mujh ko pahle se yaqīñ us pe nahīñ thā 'hashmat'
pardā āñkhoñ se bahar-hāl uThā to kal thā
aaj achchha hun meri jaan bura to kal tha
ab mayassar hai tera sath juda to kal tha
us se nazren jo milin hosh abhi tak gum hain
hadisa aisa mere sath hua to kal tha
aag kuchh aisi lagi sari faza hai dhundli
dil se uThta hai dhuan ab bhi bujha to kal tha
aaj bhi mujh ko gulabon ki mahak aati hai
sirf ek pal ke liye us ne chhua to kal tha
uljhanon mein hi raha hun main abhi tak masruf
KHwab bhi hote hain ye 'ilm hua to kal tha
mujh ko pahle se yaqin us pe nahin tha 'hashmat'
parda aankhon se bahar-haal uTha to kal tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.