aaj apne dil se phir uljha hun main
aaj apne dil se phir uljhā huuñ maiñ
mudda'ā ye hai ki dekhūñ kyā huuñ maiñ
roknā ai māddiyat ke hijāb
ḳhud-baḳhud ifshā huā jaatā huuñ maiñ
hai mirī āñkhoñ meñ kaif-e-be-ḳhudī
ḳhvāb-e-doshīñ se abhī jaagā huuñ maiñ
chāñdnī rātoñ meñ jab uThtī hai mauj
nuur ban kar chāñd meñ bahtā huuñ maiñ
kis qadar rangīn hai merā mizāj
sub.h ke phūloñ kā gahvāra huuñ maiñ
gulsitāñ meñ chheḌ kar ġhunchoñ ke saaz
ḳhud-baḳhud ik giit gā letā huuñ maiñ
jāda-e-hastī hai ik rāh-e-ġhalat
ye kahāñ gum ho ke aa pahuñchā huuñ maiñ
duur tak koī nahīñ hai ham-ḳhayāl
aise ḳhvāb-ābād meñ tanhā huuñ maiñ
kārvān-e-zindagī aage gayā
pur-ġhubār ik sub.h kā taarā huuñ maiñ
tang hai mujh par fāzā-e-kā.enāt
zarre kī āġhosh meñ sahrā huuñ maiñ
zindagī kī bujh ga.iiñ sham'eñ 'ziyā'
tīrgī-e-shab kā parvāna huuñ maiñ
aaj apne dil se phir uljha hun main
mudda'a ye hai ki dekhun kya hun main
rokna ai maddiyat ke hijab
KHud-baKHud ifsha hua jata hun main
hai meri aankhon mein kaif-e-be-KHudi
KHwab-e-doshin se abhi jaga hun main
chandni raaton mein jab uThti hai mauj
nur ban kar chand mein bahta hun main
kis qadar rangin hai mera mizaj
subh ke phulon ka gahwara hun main
gulsitan mein chheD kar ghunchon ke saz
KHud-baKHud ek git ga leta hun main
jada-e-hasti hai ek rah-e-ghalat
ye kahan gum ho ke aa pahuncha hun main
dur tak koi nahin hai ham-KHayal
aise KHwab-abaad mein tanha hun main
karwan-e-zindagi aage gaya
pur-ghubar ek subh ka tara hun main
tang hai mujh par faza-e-kaenat
zarre ki aaghosh mein sahra hun main
zindagi ki bujh gain sham'en 'ziya'
tirgi-e-shab ka parwana hun main
- Subh-e-Mashriq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.