aaj basti mein teri saneha aisa dekha
aaj bastī meñ tirī sāneha aisā dekhā
ham ne har aañkh meñ biphrā huā dariyā dekhā
jaane ta.abīr ho ab kaisī ḳhudā ḳhair kare
raat phir ḳhvāb meñ khiltā huā ġhuncha dekhā
us ne pūchhā bhī nahīñ raah kī kyoñ dhuul hue
umr bhī baiTh ke jis shaḳhs kā rasta dekhā
jo pahāḌoñ se chale ziist kā sāmāñ le kar
ham ne har jharne meñ ik nuur kā dhārā dekhā
aa.ina kahne lagā kaan meñ chupke chupke
be-amal shaḳhs koī aur na tujh sā dekhā
phuul shāḳhoñ pe khile aap se aur phir na mile
mausam-e-hijr na kuchh tū ne bhī sochā dekhā
jaane kyūñ-kar vo pareshān sā rahtā hai 'razā'
jab bhī dekhā hai kisī soch meñ Duubā dekhā
aaj basti mein teri saneha aisa dekha
hum ne har aankh mein biphra hua dariya dekha
jaane tabir ho ab kaisi KHuda KHair kare
raat phir KHwab mein khilta hua ghuncha dekha
us ne puchha bhi nahin rah ki kyon dhul hue
umr bhi baiTh ke jis shaKHs ka rasta dekha
jo pahaDon se chale zist ka saman le kar
hum ne har jharne mein ek nur ka dhaara dekha
aaina kahne laga kan mein chupke chupke
be-amal shaKHs koi aur na tujh sa dekha
phul shaKHon pe khile aap se aur phir na mile
mausam-e-hijr na kuchh tu ne bhi socha dekha
jaane kyun-kar wo pareshan sa rahta hai 'raza'
jab bhi dekha hai kisi soch mein Duba dekha
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 359)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.