aaj be-chehra hain chehron ke samundar kitne
aaj be-chehra haiñ chehroñ ke samundar kitne
aa.ine DhūñDte phirte haiñ sikandar kitne
maiñ ne bachchoñ ke namūne ke jo banvā.e the
bah ga.e vaqt ke sailāb meñ vo ghar kitne
ek aañsū bhī nahīñ ek tabassum bhī nahīñ
miT ga.e harf-e-ġhalat ban ke muqaddar kitne
ham ne apnā hī makāñ aaj khulā chhoḌ diyā
pheñk saktā hai kahīñ se koī patthar kitne
garm-bāzārī salīboñ se baḌhī hai aage
raat din karte haiñ saudāgarī ḳhanjar kitne
tishnagī Dastī rahī tishna-labī ko lekin
shīsh-mahloñ meñ chhalakte rahe sāġhar kitne
ho gayā lafz-e-vafā band kitāboñ meñ 'razā'
sard-mehrī ke har ik samt haiñ daftar kitne
aaj be-chehra hain chehron ke samundar kitne
aaine DhunDte phirte hain sikandar kitne
main ne bachchon ke namune ke jo banwae the
bah gae waqt ke sailab mein wo ghar kitne
ek aansu bhi nahin ek tabassum bhi nahin
miT gae harf-e-ghalat ban ke muqaddar kitne
hum ne apna hi makan aaj khula chhoD diya
phenk sakta hai kahin se koi patthar kitne
garm-bazari salibon se baDhi hai aage
raat din karte hain saudagari KHanjar kitne
tishnagi Dasti rahi tishna-labi ko lekin
shish-mahlon mein chhalakte rahe saghar kitne
ho gaya lafz-e-wafa band kitabon mein 'raza'
sard-mehri ke har ek samt hain daftar kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.