aaj bhi aashiq ki ye rudad hai
aaj bhī āshiq kī ye rūdād hai
koī majnūñ hai koī farhād hai
har ghaḌī har pal unhīñ kī yaad hai
is liye shāyad mirā dil shaad hai
apnā apnā hai muqaddar ishq meñ
shaad hai koī koī nāshād hai
ghoḌe joḌe kī ye la.anat ḳhatm ho
har javāñ beTī kī ye fariyād hai
maañ se nafrat pyaar biivī se kare
nā-ḳhalaf is daur kī aulād hai
chuġhlī ġhībat hirs lālach aur hasad
qaum apnī is meñ hī barbād hai
fat.h 'rāmish' aap kī hogī zarūr
jab irāda aap kā faulād hai
aaj bhi aashiq ki ye rudad hai
koi majnun hai koi farhad hai
har ghaDi har pal unhin ki yaad hai
is liye shayad mera dil shad hai
apna apna hai muqaddar ishq mein
shad hai koi koi nashad hai
ghoDe joDe ki ye lanat KHatm ho
har jawan beTi ki ye fariyaad hai
man se nafrat pyar biwi se kare
na-KHalaf is daur ki aulad hai
chughli ghibat hirs lalach aur hasad
qaum apni is mein hi barbaad hai
fath 'ramish' aap ki hogi zarur
jab irada aap ka faulad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.