aaj bhi ahl-e-nazar gar kahin pae jate
aaj bhī ahl-e-nazar gar kahīñ paa.e jaate
aañkh meñ paate jagah dil meñ basā.e jaate
gaañv ke log mujhe bhuul ga.e haiñ varna
merī aamad pe makānāt sajā.e jaate
zindagī tujh se bahut pyaar hai ham ko lekin
ab tire naaz nahīñ ham se uThā.e jaate
roz karte na.e alfāz kī rang-āmezī
zindagī-bhar tirī tasvīr banā.e jaate
koī to husn hai ham meñ bhī kashish hai koī
varna duniyā kī numā.ish meñ na laa.e jaate
ai 'ḳhalish' vo tumheñ mahfil meñ bulātā ik din
us kī āvāz meñ āvāz milā.e jaate
aaj bhi ahl-e-nazar gar kahin pae jate
aankh mein pate jagah dil mein basae jate
ganw ke log mujhe bhul gae hain warna
meri aamad pe makanat sajae jate
zindagi tujh se bahut pyar hai hum ko lekin
ab tere naz nahin hum se uThae jate
roz karte nae alfaz ki rang-amezi
zindagi-bhar teri taswir banae jate
koi to husn hai hum mein bhi kashish hai koi
warna duniya ki numaish mein na lae jate
ai 'KHalish' wo tumhein mahfil mein bulata ek din
us ki aawaz mein aawaz milae jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.