aaj bhi qaid in aankhon mein kahani hai wahi
aaj bhī qaid in āñkhoñ meñ kahānī hai vahī
muddatoñ ba.ad bhī ulfat kī ravānī hai vahī
dhuup kā jism sar-e-ām jalā kartā hai
phir bhī is dhuup kī pahle sī javānī hai vahī
vasl kī chaah meñ dauḌī hai nadī sāgar tak
aarzū us kī zamāne se purānī hai vahī
janm letī haiñ kahānī se kahānī lākhoñ
phir bhī dekhī hai kahānī kī kahānī hai vahī
jab kalī khil ke mahaktī hai chaman kī har bars
phir to gulshan meñ bahāroñ kī nishānī hai vahī
nasl-dar-nasl badaltā na kabhī d n a
sirf unvān badalte haiñ kahānī hai vahī
hai nahīñ koī sarokār kisī bātil se
jo rahā sab pe hai 'ānand' kā saanī hai vahī
aaj bhi qaid in aankhon mein kahani hai wahi
muddaton baad bhi ulfat ki rawani hai wahi
dhup ka jism sar-e-am jala karta hai
phir bhi is dhup ki pahle si jawani hai wahi
wasl ki chah mein dauDi hai nadi sagar tak
aarzu us ki zamane se purani hai wahi
janm leti hain kahani se kahani lakhon
phir bhi dekhi hai kahani ki kahani hai wahi
jab kali khil ke mahakti hai chaman ki har bars
phir to gulshan mein bahaaron ki nishani hai wahi
nasl-dar-nasl badalta na kabhi d n a
sirf unwan badalte hain kahani hai wahi
hai nahin koi sarokar kisi baatil se
jo raha sab pe hai 'anand' ka sani hai wahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.