aaj bhi teri hi surat hai muqabil mere
aaj bhī terī hī sūrat hai muqābil mere
ye bhī ik ishq kā andāz hai qātil mere
terā mahrūm-e-mohabbat huuñ so vāpas na gayā
be-mohabbat kabhī dar se koī saa.il mere
husn-e-bīmār tujhe phuul diye haiñ maiñ ne
in meñ hone the magar zaḳhm bhī shāmil mere
aur maiñ huuñ ki safar phir bhī kiye jaatā huuñ
saa.e kī tarah ta.āqub meñ hai manzil mere
maiñ samundar ke talātum se bhī kuchh sīkhtā huuñ
isī taqsīr pe dushman hue sāhil mere
aaj ārā.ishī zanjīr hai gardan meñ 'kamāl'
kabhī hathiyār gale meñ the hamā.il mere
aaj bhi teri hi surat hai muqabil mere
ye bhi ek ishq ka andaz hai qatil mere
tera mahrum-e-mohabbat hun so wapas na gaya
be-mohabbat kabhi dar se koi sail mere
husn-e-bimar tujhe phul diye hain main ne
in mein hone the magar zaKHm bhi shamil mere
aur main hun ki safar phir bhi kiye jata hun
sae ki tarah taaqub mein hai manzil mere
main samundar ke talatum se bhi kuchh sikhta hun
isi taqsir pe dushman hue sahil mere
aaj aaraishi zanjir hai gardan mein 'kamal'
kabhi hathiyar gale mein the hamail mere
- Book : khizaa.n mera mausam (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.