aaj bhi tum kitne sachche ho
aaj bhī tum kitne sachche ho
hairat se zinda kaise ho
jhūToñ par phaTkār ḳhudā kī
chup rah kar bhī kah lete ho
duniyā bai'at kar ke ḳhush hai
tum la.anat la.anat karte ho
sab se kaT kar jiinā marnā
kaise ho ab tak achchhe ho
pal pal kālak dhuul dhueñ meñ
tum kyūñkar ujle rahte ho
chor kahāñ jā.eñge āḳhir
tum sonā chāñdī kahte ho
ḳhuub ġhazal ke hoñToñ par bhī
tezābī lahja rakhte ho
aaj bhi tum kitne sachche ho
hairat se zinda kaise ho
jhuTon par phaTkar KHuda ki
chup rah kar bhi kah lete ho
duniya bai'at kar ke KHush hai
tum lanat lanat karte ho
sab se kaT kar jina marna
kaise ho ab tak achchhe ho
pal pal kalak dhul dhuen mein
tum kyunkar ujle rahte ho
chor kahan jaenge aaKHir
tum sona chandi kahte ho
KHub ghazal ke honTon par bhi
tezabi lahja rakhte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.