aaj bhi usne sar-e-bazm suni baat nahin
aaj bhī us ne sar-e-bazm sunī baat nahīñ
aur ye baat mire dost na.ī baat nahīñ
ġhair kā zikr kiyā aur kahā ye hañs kar
aap jo sochte haiñ aisī koī baat nahīñ
aap ke vāste maiñ jaan bhī de saktā huuñ
aap ke vāste lekin ye baḌī baat nahīñ
ham ga.e vaqt meñ yūsuf bhī kahe jaate rahe
ye ga.ī baat hai itnī bhī ga.ī baat nahīñ
log is vāste laḌte haiñ mire saath 'munīr'
maiñ jo har baat pe kahtā huuñ koī baat nahīñ
aaj bhi us ne sar-e-bazm suni baat nahin
aur ye baat mere dost nai baat nahin
ghair ka zikr kiya aur kaha ye hans kar
aap jo sochte hain aisi koi baat nahin
aap ke waste main jaan bhi de sakta hun
aap ke waste lekin ye baDi baat nahin
hum gae waqt mein yusuf bhi kahe jate rahe
ye gai baat hai itni bhi gai baat nahin
log is waste laDte hain mere sath 'munir'
main jo har baat pe kahta hun koi baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.