aaj bhi wo usi subhaw ka hai
aaj bhī vo usī subhāv kā hai
vahī andāz rakh-rakhāv kā hai
zindagī se nazar milā ke chalo
rāsta ik yahī bachāv kā hai
us ko bhūleñ to kis tarah bhūleñ
us se rishta ajab lagāv kā hai
zindagī kyā hai kyā batā.eñ tumheñ
haath se roknā bahāv kā hai
jī meñ aatā hai baat karte jaa.eñ
us kā lahja bhī kyā rachāv kā hai
jo dahaktā hai mere siine meñ
ye to sho.ala usī alaav kā hai
manzileñ duur bhī nahīñ 'shabnam'
asl meñ mas.ala ghumāv kā hai
aaj bhi wo usi subhaw ka hai
wahi andaz rakh-rakhaw ka hai
zindagi se nazar mila ke chalo
rasta ek yahi bachaw ka hai
us ko bhulen to kis tarah bhulen
us se rishta ajab lagaw ka hai
zindagi kya hai kya bataen tumhein
hath se rokna bahaw ka hai
ji mein aata hai baat karte jaen
us ka lahja bhi kya rachaw ka hai
jo dahakta hai mere sine mein
ye to shoala usi alaw ka hai
manzilen dur bhi nahin 'shabnam'
asl mein masala ghumaw ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.