aaj dil kā 'ajīb 'ālam hai
ruuh bechain aañkh pur-nam hai
phir kisī aarzū ke miTne par
ḳhāna-e-dil meñ shor-e-mātam hai
ġham-e-hastī diyā navāzish kī
ye navāzish magar bahut kam hai
jalva-farmā hai baam par koī
chāñd tāroñ meñ raushnī kam hai
un ke aane kī hai ḳhushī lekin
dil ke jaane kā bhī bahut ġham hai
husn hai go savāl pechīda
‘ishq bhī ik ḳhayāl-e-mub.ham hai
ham ko apnā ḳhayāl ho ki na ho
lekin un kā ḳhayāl paiham hai
‘ishq meñ bebasī are tauba
dil hai yā koī dard-e-paiham hai
dhuum hai jo kalām-e-'ābid' kī
josh sāhab kā faiz-e-paiham hai
aaj dil ka 'ajib 'alam hai
ruh bechain aankh pur-nam hai
phir kisi aarzu ke miTne par
KHana-e-dil mein shor-e-matam hai
gham-e-hasti diya nawazish ki
ye nawazish magar bahut kam hai
jalwa-farma hai baam par koi
chand taron mein raushni kam hai
un ke aane ki hai KHushi lekin
dil ke jaane ka bhi bahut gham hai
husn hai go sawal pechida
‘ishq bhi ek KHayal-e-mubham hai
hum ko apna KHayal ho ki na ho
lekin un ka KHayal paiham hai
‘ishq mein bebasi are tauba
dil hai ya koi dard-e-paiham hai
dhum hai jo kalam-e-'abid' ki
josh sahab ka faiz-e-paiham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.