aaj ek marne wala kahta tha bekali mein
aaj ek marne vaalā kahtā thā bekalī meñ
hasrat mirī na niklī thoḌī sī zindagī meñ
taklīf bhī isī meñ ārām bhī isī meñ
donoñ ko ham ne dekhā do din kī zindagī meñ
qudrat ye kah rahī hai kuchh kar le zindagī meñ
fitrat shanās ho kar khoyā hai tū ḳhushī meñ
guzrā baḌe maze se iflās kā zamāna
piitā thā ḳhuun dil kā maiñ daur-e-muflisī meñ
gulshan jo ho gayā hai nazr-e-ḳhizāñ hamārā
pinhāñ thā rāz-e-hastī shāyad kalī kalī meñ
mutrib-navāz fitrat kahtī hai ahl-e-dil se
tār-e-nafas ko chheḌo naġhma hai bas isī meñ
saaqī ko bhuul jā.ūñ mutrib ko bhuul jā.ūñ
kuchh aur bhī izāfa ho merī be-ḳhudī meñ
bāġh-e-jahāñ se kyūñkar ahl-e-jahāñ na ḳhush hoñ
har gul meñ rang terā bū terī har kalī meñ
charḳh-e-barīñ pe fauran pī kar mirā pahuñchnā
sair-e-falak-numā thī har jām-e-sarmadī meñ
āvāz-e-nai ko sun kar be-ḳhud huā 'vafā' bhī
bhar dī sadā-e-dilkash ye kis ne bāñsurī meñ
aaj ek marne wala kahta tha bekali mein
hasrat meri na nikli thoDi si zindagi mein
taklif bhi isi mein aaram bhi isi mein
donon ko hum ne dekha do din ki zindagi mein
qudrat ye kah rahi hai kuchh kar le zindagi mein
fitrat shanas ho kar khoya hai tu KHushi mein
guzra baDe maze se iflas ka zamana
pita tha KHun dil ka main daur-e-muflisi mein
gulshan jo ho gaya hai nazr-e-KHizan hamara
pinhan tha raaz-e-hasti shayad kali kali mein
mutrib-nawaz fitrat kahti hai ahl-e-dil se
tar-e-nafas ko chheDo naghma hai bas isi mein
saqi ko bhul jaun mutrib ko bhul jaun
kuchh aur bhi izafa ho meri be-KHudi mein
bagh-e-jahan se kyunkar ahl-e-jahan na KHush hon
har gul mein rang tera bu teri har kali mein
charKH-e-barin pe fauran pi kar mera pahunchna
sair-e-falak-numa thi har jam-e-sarmadi mein
aawaz-e-nai ko sun kar be-KHud hua 'wafa' bhi
bhar di sada-e-dilkash ye kis ne bansuri mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.