aaj gulshan ki faza pur-Khaar hai tere baghair
aaj gulshan kī fazā pur-ḳhār hai tere baġhair
saañs lenā bhī mujhe dushvār hai tere baġhair
mai-kadoñ meñ zindagī kā raqs jaarī hai to ho
mujh ko mai-noshī se lekin aar hai tere baġhair
chāñd tāroñ kā tabassum bhī mujhe hai nāgavār
sach to ye hai zindagī be-kār hai tere baġhair
ik tire hone se rahtā thā mire dil ko qarār
ab magar ranj-o-mehan se pyaar hai tere baġhair
khā rahā huuñ har qadam par Thokareñ shām-o-sahar
zindagī kī raah nā-hamvār hai tere baġhair
mujh ko dam bhar bhī sukūñ hāsil nahīñ hotā kahīñ
sach to ye hai zindagī dushvār hai tere baġhair
aa mirī ujḌī huī duniyā ko phir ābād kar
aa ki merī zindagī be-kār hai tere baġhair
aaj gulshan ki faza pur-KHar hai tere baghair
sans lena bhi mujhe dushwar hai tere baghair
mai-kadon mein zindagi ka raqs jari hai to ho
mujh ko mai-noshi se lekin aar hai tere baghair
chand taron ka tabassum bhi mujhe hai nagawar
sach to ye hai zindagi be-kar hai tere baghair
ek tere hone se rahta tha mere dil ko qarar
ab magar ranj-o-mehan se pyar hai tere baghair
kha raha hun har qadam par Thokaren sham-o-sahar
zindagi ki rah na-hamwar hai tere baghair
mujh ko dam bhar bhi sukun hasil nahin hota kahin
sach to ye hai zindagi dushwar hai tere baghair
aa meri ujDi hui duniya ko phir aabaad kar
aa ki meri zindagi be-kar hai tere baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.