aaj gulshan mein ye afwah uDa di jae
aaj gulshan meñ ye afvāh uḌā dī jaa.e
zindagī kī sabhī ḳhushiyoñ ko havā dī jaa.e
bāda-e-uns yuuñ taqsīm karā dī jaa.e
koī baaqī na rahe sab ko pilā dī jaa.e
parcham ab zulm kā lahrāte haiñ har sū zālim
aap batlā.iye kis-kis ko sazā dī jaa.e
log jeboñ meñ chhupe saañp liye phirte haiñ
qarya-qarya ye ḳhabar sab ko sunā dī jaa.e
jhukne paa.e na kabhī amn-o-amāñ kā parcham
uTTho nafrat kī ye dīvār girā dī jaa.e
hind merā hī nahīñ sab kā hī pyārā hai vatan
dil meñ har ek ke ye baat biThā dī jaa.e
lafz āsān 'niyāzī' haiñ tirī ġhazloñ meñ
in meñ ab 'mīr' kī tasvīr lagā dī jaa.e
aaj gulshan mein ye afwah uDa di jae
zindagi ki sabhi KHushiyon ko hawa di jae
baada-e-uns yun taqsim kara di jae
koi baqi na rahe sab ko pila di jae
parcham ab zulm ka lahraate hain har su zalim
aap batlaiye kis-kis ko saza di jae
log jebon mein chhupe sanp liye phirte hain
qarya-qarya ye KHabar sab ko suna di jae
jhukne pae na kabhi amn-o-aman ka parcham
uTTho nafrat ki ye diwar gira di jae
hind mera hi nahin sab ka hi pyara hai watan
dil mein har ek ke ye baat biTha di jae
lafz aasan 'niyazi' hain teri ghazlon mein
in mein ab 'mir' ki taswir laga di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.