aaj hum ek baat aisi kah gae
aaj ham ik baat aisī kah ga.e
jis se vo tasvīr ban kar rah ga.e
vaa.e nākāmī ki sab armān-e-dil
rafta rafta ashk ban kar bah ga.e
ābrū-e-ishq rakhnā thī hameñ
is liye zulm-o-sitam sab sah ga.e
ham bhī kuchh had se sivā karte magar
kyā kareñ majbūr ho kar rah ga.e
mere andāz-e-junūñ par bhī 'ziyā'
kuchh na bole muskurā kar rah ga.e
aaj hum ek baat aisi kah gae
jis se wo taswir ban kar rah gae
wae nakaami ki sab arman-e-dil
rafta rafta ashk ban kar bah gae
aabru-e-ishq rakhna thi hamein
is liye zulm-o-sitam sab sah gae
hum bhi kuchh had se siwa karte magar
kya karen majbur ho kar rah gae
mere andaz-e-junun par bhi 'ziya'
kuchh na bole muskura kar rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.