aaj hum isko laDa denge tere tir ke sath
aaj ham is ko laḌā deñge tire tiir ke saath
aah bhī tiir hai gar aah ho tāsīr ke saath
fikr-e-uqbā bhī rahe rif.at-o-tauqīr ke saath
qabr ta.amīr ho har qasr kī ta.amīr ke saath
ab kisī fitna-e-mahshar ke baneñge shāgird
ham bhī ab chaal chaleñge falak-e-pīr ke saath
dil parī-ḳhāna banā aks-e-parī-paikar se
uḌ chalā saarā makāñ ek hī tasvīr ke saath
rang-o-roġhan ke pas-e-parda hai saada kāġhaz
shakl-e-pīrī bhī javānī kī hai tasvīr ke saath
maiñ ḳhatāvār huuñ us vaqt jab ai dāvar-e-hashr
merī niyyat bhī ho sābit mirī taqsīr ke saath
tum hī milte nahīñ lekin ḳhat-e-qismat merā
miltā-jultā hai tumhāre ḳhat-e-taqdīr ke saath
ġhair ke dil meñ na rah jaa.e kahīñ tiir us kā
us ne jab tiir chalāyā maiñ uḌā tiir ke saath
kahte haiñ aah tirī ban ga.ī bijlī kyūñkar
yā mire saath chalī yā mirī shamshīr ke saath
ye mirā nāma-e-a.amāl hai ai dāvar-e-hashr
tū ise dekh milā kar ḳhat-e-taqdīr ke saath
aaj hum is ko laDa denge tere tir ke sath
aah bhi tir hai gar aah ho tasir ke sath
fikr-e-uqba bhi rahe rifat-o-tauqir ke sath
qabr tamir ho har qasr ki tamir ke sath
ab kisi fitna-e-mahshar ke banenge shagird
hum bhi ab chaal chalenge falak-e-pir ke sath
dil pari-KHana bana aks-e-pari-paikar se
uD chala sara makan ek hi taswir ke sath
rang-o-roghan ke pas-e-parda hai sada kaghaz
shakl-e-piri bhi jawani ki hai taswir ke sath
main KHatawar hun us waqt jab ai dawar-e-hashr
meri niyyat bhi ho sabit meri taqsir ke sath
tum hi milte nahin lekin KHat-e-qismat mera
milta-julta hai tumhaare KHat-e-taqdir ke sath
ghair ke dil mein na rah jae kahin tir us ka
us ne jab tir chalaya main uDa tir ke sath
kahte hain aah teri ban gai bijli kyunkar
ya mere sath chali ya meri shamshir ke sath
ye mera nama-e-amal hai ai dawar-e-hashr
tu ise dekh mila kar KHat-e-taqdir ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.