aaj hum muntashir hain khanDon mein
aaj ham muntashir haiñ khanDoñ meñ
log haiñ apne apne jhanḌoñ meñ
in parindoñ ke bhī muqaddar haiñ
janm lete haiñ jo ki anDoñ meñ
ḳhud ko kahte haiñ secular jo ki
vo hī Dhalte haiñ lāThī DanDoñ meñ
aisā jaadū hai māyā-nagrī kā
log uljhe haiñ dhan ke panDoñ meñ
ye 'shubham' kah rahā hai manchoñ se
merī rachnā hai māp-danDoñ meñ
aaj hum muntashir hain khanDon mein
log hain apne apne jhanDon mein
in parindon ke bhi muqaddar hain
janm lete hain jo ki anDon mein
KHud ko kahte hain secular jo ki
wo hi Dhalte hain laThi DanDon mein
aisa jadu hai maya-nagri ka
log uljhe hain dhan ke panDon mein
ye 'shubham' kah raha hai manchon se
meri rachna hai map-danDon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.