aaj hum sar-e-mahfil is qadar hanse yaro
aaj ham sar-e-mahfil is qadar hañse yaaro
ġham jo bhuul baiThe the yaad aa ga.e yaaro
chup haiñ qāfile vaale mutma.in haiñ rahbar bhī
dard bujh gayā yaaro ḳhvāb luT ga.e yaaro
tum the raunaq-e-mahfil har ḳhushī tumhārī thī
ham charāġh-e-mahfil the rāt-bhar jale yaaro
zindagī ke jo lamhe pyaar se sameTe the
vaqt ke bayābāñ meñ sab bikhar ga.e yaaro
'kaif' ghar ke bāhar to har taraf añdherā hai
apne apne ghar raushan sab ne kar liye yaaro
aaj hum sar-e-mahfil is qadar hanse yaro
gham jo bhul baiThe the yaad aa gae yaro
chup hain qafile wale mutmain hain rahbar bhi
dard bujh gaya yaro KHwab luT gae yaro
tum the raunaq-e-mahfil har KHushi tumhaari thi
hum charagh-e-mahfil the raat-bhar jale yaro
zindagi ke jo lamhe pyar se sameTe the
waqt ke bayaban mein sab bikhar gae yaro
'kaif' ghar ke bahar to har taraf andhera hai
apne apne ghar raushan sab ne kar liye yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.