aaj har chehre pe phaila hua ek Dar kyon hai
aaj har chehre pe phailā huā ik Dar kyoñ hai
ghar meñ rahte hue har aadmī be-ghar kyoñ hai
ik dahaktā huā laavā hai agarche andar
munjamid barf ke kohsār sā bāhar kyoñ hai
kyoñ chalī jaatī hai us ko mire hisse kī ḳhushī
us kā har dard mire dil ko mayassar kyoñ hai
log kahte haiñ mohabbat hai iram kā tohfa
aaj ye pyaar jahannum ke barābar kyoñ hai
kyoñ tire naam pe laḌte haiñ zamāne vaale
yā-ḳhudā chāroñ taraf ḳhauf kā manzar kyoñ hai
nargisī āñkhoñ meñ ik jhiil nahīñ sho.ale haiñ
marmarīñ hāthoñ meñ gul honā thā ḳhanjar kyoñ hai
be-gunāhī kī mirī jis meñ thī har dastāvez
bhiiḌ ke saath usī haath meñ patthar kyoñ hai
chāñd ko bāhoñ meñ lene kī lalak hai shāyad
aaj biphrā huā is darja samundar kyoñ hai
ḳhud ko jazbāt se aarī maiñ samajh baiThā thā
phir ye ehsās meñ ik dhuñdlā sā paikar kyoñ hai
aaj samjhā huuñ zamāne kī ravish hai kaisī
jo thā be-dāġh sar-e-dār vahī sar kyoñ hai
terī mai-rez nigāhī kā kahīñ naam nahīñ
tanz saaqī pe hai badnām ye sāġhar kyoñ hai
rang-o-bū meñ to hai vo rashk-e-chaman jān-e-chaman
apnī guftār meñ vo itnā sitamgar kyoñ hai
aaj har chehre pe phaila hua ek Dar kyon hai
ghar mein rahte hue har aadmi be-ghar kyon hai
ek dahakta hua lawa hai agarche andar
munjamid barf ke kohsar sa bahar kyon hai
kyon chali jati hai us ko mere hisse ki KHushi
us ka har dard mere dil ko mayassar kyon hai
log kahte hain mohabbat hai iram ka tohfa
aaj ye pyar jahannum ke barabar kyon hai
kyon tere nam pe laDte hain zamane wale
ya-KHuda chaaron taraf KHauf ka manzar kyon hai
nargisi aankhon mein ek jhil nahin shoale hain
marmarin hathon mein gul hona tha KHanjar kyon hai
be-gunahi ki meri jis mein thi har dastawez
bhiD ke sath usi hath mein patthar kyon hai
chand ko bahon mein lene ki lalak hai shayad
aaj biphra hua is darja samundar kyon hai
KHud ko jazbaat se aari main samajh baiTha tha
phir ye ehsas mein ek dhundla sa paikar kyon hai
aaj samjha hun zamane ki rawish hai kaisi
jo tha be-dagh sar-e-dar wahi sar kyon hai
teri mai-rez nigahi ka kahin nam nahin
tanz saqi pe hai badnam ye saghar kyon hai
rang-o-bu mein to hai wo rashk-e-chaman jaan-e-chaman
apni guftar mein wo itna sitamgar kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.