aaj har gam pe raqsan ye sitare kyon hain
aaj har gaam pe raqsāñ ye sitāre kyoñ haiñ
jazba-e-shauq ye be-nām sahāre kyoñ haiñ
hāsil-e-ishq tahayyur ke sivā kuchh bhī nahīñ
dil to merā hai magar zaḳhm tumhāre kyoñ haiñ
jām-e-ḳhālī ko surāhī se ham-āġhosh kiyā
kuchh to batlāo ye mub.ham se ishāre kyoñ haiñ
gar tirā ġham hai salāmat to hai pahlū-e-nashāt
tere barbād magar ġham hī ke maare kyoñ haiñ
jab bhī aa.ī hai lagāyā hai mohabbat se gale
yād-e-mahbūb ye aañsū tujhe pyāre kyoñ haiñ
koī saudā hai junūñ hai ki hai ulfat terī
tere vahshī tujhe rah rah ke pukāre kyoñ haiñ
ik ta’alluq kā nishāñ hai ki hai kuchh aur 'sabā'
mere hī dil meñ ye ḳhanjar se utāre kyoñ haiñ
aaj har gam pe raqsan ye sitare kyon hain
jazba-e-shauq ye be-nam sahaare kyon hain
hasil-e-ishq tahayyur ke siwa kuchh bhi nahin
dil to mera hai magar zaKHm tumhaare kyon hain
jam-e-KHali ko surahi se ham-aghosh kiya
kuchh to batlao ye mubham se ishaare kyon hain
gar tera gham hai salamat to hai pahlu-e-nashat
tere barbaad magar gham hi ke mare kyon hain
jab bhi aai hai lagaya hai mohabbat se gale
yaad-e-mahbub ye aansu tujhe pyare kyon hain
koi sauda hai junun hai ki hai ulfat teri
tere wahshi tujhe rah rah ke pukare kyon hain
ek ta’alluq ka nishan hai ki hai kuchh aur 'saba'
mere hi dil mein ye KHanjar se utare kyon hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.