aaj jab ishq ke girdab se bahar nikla
aaj jab 'ishq ke girdāb se bāhar niklā
tab mirā hosh tire ḳhvāb se bāhar niklā
aaj hī DhūñDeñge ham apnī ḳhushī kī kashtī
aañkh kā shahr jo sailāb se bāhar niklā
karb-e-ehsās baḌhā detā hai dil kī dhaḌkan
kyoñ mirā ġham mire ahbāb se bāhar niklā
maiñ zamāne kī har ik chiiz vahīñ bhuul gayā
jab tirā 'aks mire ḳhvāb se bāhar niklā
paḌh liyā jā.egā mazmūn dil-e-'shārib' kā
ek bhī lafz jo e'rāb se bāhar niklā
aaj jab 'ishq ke girdab se bahar nikla
tab mera hosh tere KHwab se bahar nikla
aaj hi DhunDenge hum apni KHushi ki kashti
aankh ka shahr jo sailab se bahar nikla
karb-e-ehsas baDha deta hai dil ki dhaDkan
kyon mera gham mere ahbab se bahar nikla
main zamane ki har ek chiz wahin bhul gaya
jab tera 'aks mere KHwab se bahar nikla
paDh liya jaega mazmun dil-e-'shaarib' ka
ek bhi lafz jo e'rab se bahar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.