aaj ka jo kaam tha kal par uTha kar rakh diya
aaj kā jo kaam thā kal par uThā kar rakh diyā
maiñ ne yuuñ har qīmtī mauqa gañvā kar rakh diyā
jis taraf bhī dekhiye bas jokeroñ kī bhiiḌ hai
aap ne to mulk ko circus banā kar rakh diyā
laḌ rahā thā zulmat-e-shab se akelā ik charāġh
sar-phirī āñdhī ne us ko bhī bujhā kar rakh diyā
kaise hogī surḳh-rū duniyā meñ āḳhir aisī qaum
jis ne ahkām-e-ilāhī ko bhulā kar rakh diyā
kyoñ maiñ tere ishq kā har sū DhinDhorā pīTtā
qīmtī sāmān thā dil meñ chhupā kar rakh diyā
aa rahe haiñ ab vo iqrār-e-mohabbat ke liye
dostoñ ne jab mujhe nahlā dhulā kar rakh diyā
peT kī ḳhātir kisī ne bech Daalī aabrū
aaj is manzar ne 'tābish' ko hilā kar rakh diyā
aaj ka jo kaam tha kal par uTha kar rakh diya
main ne yun har qimti mauqa ganwa kar rakh diya
jis taraf bhi dekhiye bas jokeron ki bhiD hai
aap ne to mulk ko circus bana kar rakh diya
laD raha tha zulmat-e-shab se akela ek charagh
sar-phiri aandhi ne us ko bhi bujha kar rakh diya
kaise hogi surKH-ru duniya mein aaKHir aisi qaum
jis ne ahkaam-e-ilahi ko bhula kar rakh diya
kyon main tere ishq ka har su DhinDhora piTta
qimti saman tha dil mein chhupa kar rakh diya
aa rahe hain ab wo iqrar-e-mohabbat ke liye
doston ne jab mujhe nahla dhula kar rakh diya
peT ki KHatir kisi ne bech Dali aabru
aaj is manzar ne 'tabish' ko hila kar rakh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.